Sunday, July 24, 2011

Zindagi Na Milegi Dobara...

There was a certain serenity, some calm, a feeling that touched you deep inside...something which can give you goosebumps repeatedly...over and over again.
The scenes featuring the adventure sports in ZNMD, the deep sea dive, the skydive, the running with the bulls take you to a different world altogether. The director did the best she could with the sequences which were built up throughout the movie...she let those moments grow inside you. especially the part after the deep sea dive where Hrithik replied, "aisa lagta hai bas saans lete raho". It really sums up what life is all about.
The poems that follow hit the right chords...Its these poems which refuse to leave my mind more than a week after I saw the movie. I cease to comment after I read them. So I do the best I can. I quote Javed Akhtar and shut up...
Savour these:

"Jab jab dard ka baadal chaya
Jab gham ka saaya lehraya
Jab aansoo palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannaate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai."

"Ek baat honthon tak hai jo aayi nahin,
bas aankhon se hai jhaankti,
tumse kabhi,
mujhse kabhi,
kuch lafz hai woh maangti,
jinko pehan ke honthon tak aa jaye,
aawaaz ki baahon mein baahein daal ke ithlaaye woh,
lekin jo yeh baat hai,
ehsaas hi ehsaas hai,
khushboo si hai jaise hawaa mein tairti,
khushboo jo be-awaaz hai,
jiska pataa tumko bhi hai,
jiska pataa mujhko bhi hai,
duniya se bhi chhupta nahin,
yeh jaane kaisa raaz hai."

"Pighle neelam sa behta ye sama,
Neeli neeli si khamoshiyan,
Na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
Sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan, bas main hoon,
Meri saansein hain aur meri dhadkanein,
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
Aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya."

and the best of the lot...
"Dilon mein tum apni Betaabiyan leke chal rahe ho,Toh zinda ho tum
Nazar mein khwabon ki Bijliyan leke chal rahe ho,Toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise Aazad rehno seekho
Tum ek dariya ke jaise Lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo Khole apni baahein
Har ek pal ek naya samay Dekhen yeh nigaahein
Jo apni aankhon mein Hairaniyan leke chal rahe ho ,Toh zinda ho tum"

Bravo Javed Akhtar....and well done Zoya Akhtar...it is a true follow up to the Dil Chahta Hai legacy.

1 comment:

prash.chaturvedi@gmail.com said...

The movie actually grows on you... I was in a different, vey happy world while watching the movie... And the shaayari was TOUCHING, APT and MINDBLOWING.